Show Mobile Navigation

Tuesday, February 25, 2014

, , ,

Ujre Hue Logon Se Gurezaa Na Hua Kar by mohsin naqvi

Masood Bukhari - 4:56 AM
Ujre  Hue Logon Se Gurezaa Na Hua Kar
Halaat K Qabron K Ye Kutbey Bhi Parha Kar

"Kia Janye Kiun Taiz Hawa Soch Men Ghum Hai
Khuwabaida Parindon Ko Darakhton Se Uraa Kar

"Us Shakhs K Tum Se Bhi Marasim Tou Honge
Who Jhoot Na Boly Ga Mere Samney Aakar

"Ab Dastaein De Ga Tu Kahan A Gham-E-Ehbaab
Men Ne Kaha Tha K Mere Dil Men Raha Kar

"Wo Aaj Bhi Sadiyo Ki Musafat Pe Khara Hai
Dhudha Tha Jisay Waqt Ki Diwaar Gira Kar

"Ae Dil Tujhe Dushman Ki Bhi Pehchan Kahan Hai
Tu Halqa-E-Yaraan Men Bhi Muhtat Raha Kar

"Men Mar Bhi Chuka ,Mil Bhi Chuka Mouj-E-Hawa Men
Ab Rait K Seenay Pay Mera Naam Likha Kar

"Pehla Sa Kahan Hai Ab Meri Raftaar Ka Aalam
A Gardish-E-Doraan Zar Tham Tham K Chala Kar

"Is Rutt Men Kahan Phool Khilen Ge Dil-E-Nadaan
Zakhmon Ko He Wabasta Zanjeer-E-Saba Kar

"Ik Rooh Ki Faryad Ne Chonka Diya Mujh Ko
Tu Ab Tou Mujhe  Jism K Zindaan Se Reha Kar

"Har Waqt Ka Hasna Tujhe Barbad Na Kar De
Tanhai K Lamhon Men Kabhi Ro Bhi Liya Kar

"Is Shab K Muqaddar Men Sehar Hi Nahi Mohsin
Dekha Hai Kai Charagon Ko Bujha Kar

0 comments:

Post a Comment