Show Mobile Navigation
Latest In

Friday, July 10, 2015

Woh log hi qadmon se zameen cheen rahy hen By Mohsin

Masood Bukhari - 9:52 PM
Woh log hi qadmon se zameen cheen rahy hen
Jo log meray qadd ky baraabar naheen aatay
IK Tum ky Tumhare liye Main bhi' Meri jaan bhi.
IK Main' ky Mujhe Tum bhi muyassar nahen atay.
Jis shaan se LOtey hen ganwa kar Dil-o-jaan Hum
Es taur to Haarey huwey Lashkar naheen atay.
Koi to khabar laaye Merey Dushmn-e-Jaan ki
Kuch Din se Meray sehn men Pathar naheen atay.
Dil Bhi koi Aasaib ki Nagri hay ky 'MOHSIN'.
Jo is se nikal jatey hain murr kar naheen atay.

Wednesday, February 26, 2014

Naseeb Aazmaane Ke Din Aa Rahe Hain

Masood Bukhari - 10:24 AM
Naseeb Aazmaane Ke Din Aa Rahe Hain
Qareeb Un Ke Aane Ke Din Aa Rahe Hain

Jo Dil Se Kaha Hai Jo Dil Se Suna Hai
Sab Un Ko Sunane Ke Din Aa Rahe Hain

Abhi Se Dil-O-Jaan Sar-E-Raah Rakh Do
Ke Lutne Lutaane Ke Din Aa Rahe Hain

Tapakne Lagi Un Nigaahon Se Masti
Nigahain Churaane Ke Din Aa Rahe Hain

Saba Phir Hamain Puuchti Phir Rahi Hai
Chaman Ko Sajaane Ke Din Aa Rahe Hain

Chalo “Faiz” Phir Se Kahin Dil Lagain
Suna Hai Thikaane Ke Din Aa Rahe Hain

Hum Ke Thehray Ajnabi Itni Madaraton Ke Baad by Faiz

Masood Bukhari - 10:12 AM
Hum Ke Thehray Ajnabi Itni Madaraton Ke Baad
Phir Banain Ge Aashna Kitni Mulaqaaton Ke Baad ?

Kub Nazar Mein Aaye Gi Be-Daagh Sabzay Ki Bahaar
Khoon Ke Dhabbay Dhulain Ge Kitni Barsaaton Ke Baad ?

Thay Bohat Be-Dard Lamhay Khatam-e-Dard-e-Aashiqui Ke
Theen Bohat Be-Meher Subhain Meherbaan Raaton Ke Baad

Dil Tou Chaaha Per Shikast-e-Dil Ne Mohlat Hee Na Di
Kuch Gilay Shikway Bhi Kar Laitay Manajaaton Ke Baad

Un Se Jo Kehnay Gaye Thay “Faiz” Jaan Sadqa Kye
An Kahee Hee Reh Gayi Wo Baat Sab Baaton Ke Baad

Tuesday, February 25, 2014

Zikr-e-Shab-e-Firaq Se Wehshat usey Bhi Thi by mohsin

Masood Bukhari - 5:00 AM
Zikr-e-Shab-e-Firaq Se Wehshat usey Bhi Thi Meri Tarha Kisi Se Muhabbat usey Bhi Thi
Mujh Ko Bhi Shoq Tha Naye Chehron Ki Deed Ka Rasta Badal Ke Chalne Ki Aadat usey Bhi Thi
Us Raat Dair Tak Wo Raha Mahw-e-Guftagu Masroof Main Bhi Kam Tha Fursat usey Bhi Thi
Sunta Tha Wo Bhi Sab Se Purani Kahaniyan Taaza Rifaqton Ki Zarorat usey Bhi Thi
Mujhse Bichar Ke Shehar Main Ghul Mill Gaya Wo Shakhs Halan Ke Shehar Bhar Se adawat usey Bhi Thi
Wo Mujhse Bhar Ke Zabt Ka Aadee Tha Jii Gaya Warna Her Ek Saans Qiyamat usey Bhi Thi

Ujre Hue Logon Se Gurezaa Na Hua Kar by mohsin naqvi

Masood Bukhari - 4:56 AM
Ujre  Hue Logon Se Gurezaa Na Hua Kar
Halaat K Qabron K Ye Kutbey Bhi Parha Kar

"Kia Janye Kiun Taiz Hawa Soch Men Ghum Hai
Khuwabaida Parindon Ko Darakhton Se Uraa Kar

"Us Shakhs K Tum Se Bhi Marasim Tou Honge
Who Jhoot Na Boly Ga Mere Samney Aakar

"Ab Dastaein De Ga Tu Kahan A Gham-E-Ehbaab
Men Ne Kaha Tha K Mere Dil Men Raha Kar

"Wo Aaj Bhi Sadiyo Ki Musafat Pe Khara Hai
Dhudha Tha Jisay Waqt Ki Diwaar Gira Kar

"Ae Dil Tujhe Dushman Ki Bhi Pehchan Kahan Hai
Tu Halqa-E-Yaraan Men Bhi Muhtat Raha Kar

"Men Mar Bhi Chuka ,Mil Bhi Chuka Mouj-E-Hawa Men
Ab Rait K Seenay Pay Mera Naam Likha Kar

"Pehla Sa Kahan Hai Ab Meri Raftaar Ka Aalam
A Gardish-E-Doraan Zar Tham Tham K Chala Kar

"Is Rutt Men Kahan Phool Khilen Ge Dil-E-Nadaan
Zakhmon Ko He Wabasta Zanjeer-E-Saba Kar

"Ik Rooh Ki Faryad Ne Chonka Diya Mujh Ko
Tu Ab Tou Mujhe  Jism K Zindaan Se Reha Kar

"Har Waqt Ka Hasna Tujhe Barbad Na Kar De
Tanhai K Lamhon Men Kabhi Ro Bhi Liya Kar

"Is Shab K Muqaddar Men Sehar Hi Nahi Mohsin
Dekha Hai Kai Charagon Ko Bujha Kar

Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech by mohsin

Masood Bukhari - 4:43 AM
Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech
Ab to khulny lagy maqtal bhary bazar k beech

Apni poshak k chin jany pe afsoos na kar
Sar salamat nae rehty yahan dastar k bech

Surkhian aman ki talqeen mein masroof rahen
Haroof barod ugalty rahy akhbar k bech

Kash iss khuwab ki tabeer ki mohlat na mily
Sholy ugtay nazar aay mujhy gulzar k bech

dhalty soraj ki tamazat nay bikhar kar dekha
sar kasheeda mira saya saf-e-ashjar k bech

Rizq, malbos, makaN, sans, marz, qarz, dawa
Munqisem ho gya insan inhe afkar k bech

Dekhy jaty na thy aanso mry jis say Mohsin
Aj hansty howy dekha usay aghyar k bech

Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai by mohsin

Masood Bukhari - 4:40 AM
Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai

Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai

Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai

Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai

Aye shehr yaar dasht say fursat nahi — magar!!
Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai
 

Mohsin abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai
Previous
Editor's Choice