Show Mobile Navigation
revolutionary poetry
Showing posts with label revolutionary poetry. Show all posts
Showing posts with label revolutionary poetry. Show all posts

Tuesday, February 25, 2014

Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech by mohsin

Masood Bukhari - 4:43 AM
Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech
Ab to khulny lagy maqtal bhary bazar k beech

Apni poshak k chin jany pe afsoos na kar
Sar salamat nae rehty yahan dastar k bech

Surkhian aman ki talqeen mein masroof rahen
Haroof barod ugalty rahy akhbar k bech

Kash iss khuwab ki tabeer ki mohlat na mily
Sholy ugtay nazar aay mujhy gulzar k bech

dhalty soraj ki tamazat nay bikhar kar dekha
sar kasheeda mira saya saf-e-ashjar k bech

Rizq, malbos, makaN, sans, marz, qarz, dawa
Munqisem ho gya insan inhe afkar k bech

Dekhy jaty na thy aanso mry jis say Mohsin
Aj hansty howy dekha usay aghyar k bech

Saturday, February 22, 2014

aesy dastoor ko main nahi manta by Habib Jalib

Masood Bukhari - 12:20 PM
Deep jis ka sirf mehellaat
hi main jalay,

Chand logon ki khushyon
ko lay ker chalay,

Wo jo saye main har
maslihat kay palay;

Aisay dastoor ko,
Subh e bay noor ko,

Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Main bhee kha’if naheen
takhta e daar say,

Main bhee Mansoor hoon,
keh do aghyaar say,

Kyun daraatay ho zindaan
ki divar say,

Zulm ki baat ko,
Jehel ki raat ko,

Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Phool shaakhon pay
khilnay lagay tum kaho,

Jaam rindon ko milnay
lagay tum kaho,

Chak seenon kay silnay
lagay tum kaho,

Iss khulay jhoot ko,
Zehan ki loot ko,

Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Tum nay loota hai sadyon
hamara sakoon,

Ab na hum per chalay ga
tumhara fasoon,

Chara gar main tumhain
kiss tara say kahoon?

Tum naheen charaagar,
Koi maanay magar,

Main naheen maanta,
Main naheen jaanta

Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Ge by Faiz

Masood Bukhari - 1:31 AM
Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Ge
Jo Dil Pe Guzarti Hai, Raqam Kartay Rahain Ge
Asbaab-e-Gham-e-Ishq Behem Kartay Rahain Ge
Veeraani-e-Dauraan Pe Qaram Kartay Rahain Ge
Haan Talkhi-e-Ayyaam Abhee Aur Barhay Gi
Haan Ahl-e-Sitam, Mashq-e-Sitam Kartay Rahain Ge
Manzoor Ye Talkhi, Ye Sitam Ham Ko Ganwaara
Dam Hai Tou Madawaa-e-Alam Kartay Rahain Ge
Mey Khaana Salaamat Hai, Tou Ham Surkhi Mey Se
Tazeen-e-Dar-o-Baam-e-Haram Kartay Rahain Ge
Baaqi Hai Lahuu Dil Mein Tou Har Ashq Se Paida
Rung-e-Lab-o-Rukhsaar-e-Sanam Kartay Rahain Ge
Ik Tarz-e-Taghaaful Hai So Wo Un Ko Mubaarak
Ik Arz-e-Tamanna Hai So Ham Kartay Rahain Ge
Previous
Editor's Choice